Sar-phiri Pagal Hawa Ka Tez Jhonka Aaega

sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

hasraton ke KHushk patton ko uDa le jaega

dudhiya aakash mein kis ko sada deta hai tu

tere mazi ka parinda ab na wapas aaega

chhoTi chhoTi KHwahishon ka qatl hote dekh kar

umr ka ehsas ruKH par gard ban ke chhaega

waqt us se chhin lega KHud-pasandi ka ghurur

han yaqinan wo KHuda ban kar bahut pachhtaega

wo hai sar-ta-pa mujassam ek francisi sharab

nashsha ban kar jism us ka zehn par bhi chhaega

KHwahishon ke jangalon mein lazzaton ke peD hain

jin ke sae mein musafir der tak sustaega

aap apni aag mein hum hath tapenge 'adib'

jab december sath apne barf-bari laega

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-phiri Pagal Hawa Ka Tez Jhonka Aaega In English By Famous Poet Krishn Adeeb. Sar-phiri Pagal Hawa Ka Tez Jhonka Aaega is written by Krishn Adeeb. Read famous Poem Sar-phiri Pagal Hawa Ka Tez Jhonka Aaega for youth and Student by Krishn Adeeb. Free Download Sar-phiri Pagal Hawa Ka Tez Jhonka Aaega in PDF.