Ho Ke Bechain Main Bhaga Kiya Aahu Ki Tarah

ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah

bas gaya tha mere andar koi KHushbu ki tarah

koi saya na mila saya-e-gesu ki tarah

sare jiwan ki thakan utri hai jadu ki tarah

meri aawaz tujhe chhu le bas itni mohlat

tere kuche se guzar jaunga sadhu ki tarah

wo jo aa jae to kya hosh ka aalam hoga

jis ke aane ki KHabar phaili hai KHushbu ki tarah

zindagi pyar wafa sab ka muqaddar yaksan

muskurahaT ki tarah hai kabhi aansu ki tarah

har taraf aag laga aae ho phir puchhte ho

kyun chali baad-e-saba ab ke baras lu ki tarah

shaeri teri ibaadat ke siwa kuchh bhi nahin

kar raha hun main tapasya kisi sadhu ki tarah

har alam sath raha gard-e-safar ki manind

har KHushi rah mein mujh ko mili jugnu ki tarah

zindagi Thokaren khati hai bichhaD kar tujh se

teri pazeb ke TuTe hue ghunghru ki tarah

koi ishwar kahe us ko ki KHuda koi kahe

wo musalman ki tarah hai na wo hindu ki tarah

apni har sans pe ehsan liye ham-dardon ka

zindagi jita hun is ahd mein urdu ki tarah

ab ye ehsas ki KHubi ho ki KHami ho 'nur'

us ki nafrat ka dhuan bhi laga KHushbu ki tarah

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Ke Bechain Main Bhaga Kiya Aahu Ki Tarah In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Ho Ke Bechain Main Bhaga Kiya Aahu Ki Tarah is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Ho Ke Bechain Main Bhaga Kiya Aahu Ki Tarah for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Ho Ke Bechain Main Bhaga Kiya Aahu Ki Tarah in PDF.