Nazar Mila Na Sake Us Se Is Nigah Ke Baad

nazar mila na sake us se is nigah ke baad

wahi hai haal hamara jo ho gunah ke baad

main kaise aur kis samt moDta KHud ko

kisi ki chah na thi dil mein teri chah ke baad

hawas ne toD di barson ki sadhna meri

gunah kya hai ye jaana magar gunah ke baad

zamir kanp to jata hai aap kuchh bhi kahen

wo ho gunah se pahle ki ho gunah ke baad

kaTi hui thin tanaben tamam rishton ki

chhupata sar main kahan tujh se rasm-o-rah ke baad

gawah chah rahe the wo be-gunahi ka

zaban se kah na saka kuchh KHuda gawah ke baad

(893) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Mila Na Sake Us Se Is Nigah Ke Baad In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Nazar Mila Na Sake Us Se Is Nigah Ke Baad is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Nazar Mila Na Sake Us Se Is Nigah Ke Baad for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Nazar Mila Na Sake Us Se Is Nigah Ke Baad in PDF.