Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun

ye lamha zist ka hai bas aaKHiri hai aur main hun

har ek samt se ab wapsi hai aur main hun

hayat jaise Thahar si gai ho ye hi nahin

tamam biti hui zindagi hai aur main hun

main apne jism se bahar hun aur hosh bhi hai

zamin pe samne ek ajnabi hai aur main hun

wo koi KHwab ho chahe KHayal ya sach ho

faza mein uDti hui chandni hai aur main hun

kisi maqam pe rukne ko ji nahin karta

ajib pyas ajab tishnagi hai aur main hun

akela ishq hai hijr-o-visal kuchh bhi nahin

bas ek aalam-e-diwangi hai aur main hun

na lafz hai na sada phir bhi kya nahin wazeh

kalam karti hui KHamushi hai aur main hun

surur-o-kaif ka aalam hadon ko chhuta hua

KHudi ka nashsha hai kuchh aagahi hai aur main hun

muqabil apne koi hai zarur kaun hai wo

bisat-e-dahr hai bazi bichhi hai aur main hun

jahan na sukh ka ehsas aur na dukh ki kasak

usi maqam pe ab shairi hai aur main hun

mere wajud ko apne mein jazb karti hui

nai nai si koi raushni hai aur main hun

jo chand lamhon mein guzra bata diya sab kuchh

phir us ke baad wahi zindagi hai aur main hun

(548) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Ye Lamha Zist Ka Hai Bas AaKHiri Hai Aur Main Hun in PDF.