Zindagi Se BaDi Saza Hi Nahin

zindagi se baDi saza hi nahin

aur kya jurm hai pata hi nahin

itne hisson mein baT gaya hun main

mere hisse mein kuchh bacha hi nahin

zindagi maut teri manzil hai

dusra koi rasta hi nahin

sach ghaTe ya baDhe to sach na rahe

jhuT ki koi intiha hi nahin

zindagi ab bata kahan jaen

zahr bazar mein mila hi nahin

jis ke karan fasad hote hain

us ka koi ata-pata hi nahin

kaise autar kaise paighambar

aisa lagta hai ab KHuda hi nahin

chahe sone ke frame mein jaD do

aaina jhuT bolta hi nahin

apni rachnaon mein wo zinda hai

'nur' sansar se gaya hi nahin

(6009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Se BaDi Saza Hi Nahin In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Zindagi Se BaDi Saza Hi Nahin is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Zindagi Se BaDi Saza Hi Nahin for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Zindagi Se BaDi Saza Hi Nahin in PDF.