Zindagani Ko Fan Ke Nam Kiya

zindagani ko fan ke nam kiya

kaam karna tha main ne kaam kiya

ilm hi ki sharab pi jhuk kar

KHud ko hargiz na waqf-e-jam kiya

gham hua meri zindagi ka madar

is qadar gham ka ehtiram kiya

jaise mashuq se ho ru-e-suKHan

zindagi tujh se yun kalam kiya

KHak chhani jo fan ke sahra ki

hum ne zauq-e-junun ko aam kiya

kaamilan-e-suKHan ko paDh paDh kar

sher-goi mein kuchh to nam kiya

apne fan par na aanch aane di

umr bhar fan ka ehtiram kiya

koi manzil na thi jo sar na hui

jab bhi himmat ko tez-gam kiya

husn ko main ne TuT kar chaha

husn ke dil mein bhi qayam kiya

fan mein mujh jaisi jis ne kawish ki

main ne dil se use salam kiya

umr bhar shaeri jo ki maghmum

main ne gumnamiyon mein nam kiya

(352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagani Ko Fan Ke Nam Kiya In English By Famous Poet Krishn Gopal Maghmum. Zindagani Ko Fan Ke Nam Kiya is written by Krishn Gopal Maghmum. Read famous Poem Zindagani Ko Fan Ke Nam Kiya for youth and Student by Krishn Gopal Maghmum. Free Download Zindagani Ko Fan Ke Nam Kiya in PDF.