Apne Mar-miTne Ke Asbab Bahut Dekhta Hun

apne mar-miTne ke asbab bahut dekhta hun

ishq wala hun tere KHwab bahut dekhta hun

ye bhi hai ek sabab is meri tanhai ka

apne chaaron taraf ahbab bahut dekhta hun

aur to aur teri yaad se bhi hun ghafil

main yahan KHud ko zafar-yab bahut dekhta hun

kuchh to us husn mein rakhi hai KHuda ne tasir

aur kuchh logon ko betab bahut dekhta hun

arsa-e-dahr to hai meri nigahon ka tilism

jab bhi main dekhta hun KHwab bahut dekhta hun

in dinon apne ko rakhta hun bahut KHud ke qarib

in dinon dahr ko KHun-nab bahut dekhta hun

mujh ko marna hai kisi jhil si aaankhon mein 'tur'

hai yahi wajh ki mahtab bahut dekhta hun

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Mar-miTne Ke Asbab Bahut Dekhta Hun In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Apne Mar-miTne Ke Asbab Bahut Dekhta Hun is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Apne Mar-miTne Ke Asbab Bahut Dekhta Hun for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Apne Mar-miTne Ke Asbab Bahut Dekhta Hun in PDF.