Dasht Mein Pahle Wo Samundar Chamkata Hai

dasht mein pahle wo samundar chamkata hai

tab phir sine mein KHanjar chamkata hai

bhiD se wo karta hai mujhe kuchh aise juda

bar neze par mera sar chamkata hai

bhed kholta hai wo yun apne hone ka

har aane wale ka ghar chamkata hai

dekhun wo kab karta hai zang-e-ana kafur

dekhun wo kab mera andar chamkata hai

warna kya miTTi kya miTTi ki kaya

kuchh to hai jo wo zamin par chamkata hai

tare suraj phul samundar chiDiya mein

wo kaise kaise manzar chamkata hai

wo kab rahne deta hai mujh ko akela 'tur'

aankh ek nilam si shab bhar chamkata hai

(294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Mein Pahle Wo Samundar Chamkata Hai In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Dasht Mein Pahle Wo Samundar Chamkata Hai is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Dasht Mein Pahle Wo Samundar Chamkata Hai for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Dasht Mein Pahle Wo Samundar Chamkata Hai in PDF.