Ek Tamasha Ye Bhi Jahan Mein Kar Jaana

ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana

apne badan se kisi kuen ko bhar jaana

bas ek bund lahu se sari fazilat hai

warna kab zinda rakhta hai mar jaana

us ko DhunDne mein jab bhi rang bhara

hum ne to is dil ko bhi ek manzar jaana

apne sar par KHud hi sajaana suraj ko

aur apni parchhain se KHud hi Dar jaana

KHak ko kyun chamkaya lahu ki raushni se

duniya ko kya soch samajh kar ghar jaana

ek zara si ana pe bas hum zinda hain

warna 'tur' bahut aasan hai mar jaana

(317) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek Tamasha Ye Bhi Jahan Mein Kar Jaana In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Ek Tamasha Ye Bhi Jahan Mein Kar Jaana is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Ek Tamasha Ye Bhi Jahan Mein Kar Jaana for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Ek Tamasha Ye Bhi Jahan Mein Kar Jaana in PDF.