Main Manzar Hun Pas-e-manzar Se Mera Rishta Bahut

main manzar hun pas-e-manzar se mera rishta bahut

aaKHir meri peshani par suraj chamka bahut

jaane kaun se ism-e-ana ke hum zindani the

tere nam ko le kar hum ne KHuda ko chaha bahut

un se kya rishta tha wo kya mere lagte the

girne lage jab peD se patte to main roya bahut

kaisi masafat samne thi aur safar tha kaisa lahu

main ne us ko us ne mujh ko muD ke dekha bahut

kis ke dast-e-sawal mein hai ek lambi chup ka charagh

jhankta hai kyun ek khiDki se koi chehra bahut

hai dariya ke lams pe nazan ek kaghaz ki naw

suraj se baaten karta hai ek daricha bahut

sari umr kisi ki KHatir suli pe laTka raha

shayad 'tur' mere andar ek shaKHs tha zinda bahut

(333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Manzar Hun Pas-e-manzar Se Mera Rishta Bahut In English By Famous Poet Krishna Kumar Toor. Main Manzar Hun Pas-e-manzar Se Mera Rishta Bahut is written by Krishna Kumar Toor. Read famous Poem Main Manzar Hun Pas-e-manzar Se Mera Rishta Bahut for youth and Student by Krishna Kumar Toor. Free Download Main Manzar Hun Pas-e-manzar Se Mera Rishta Bahut in PDF.