Junun Irfan Ban Kar Rah Gaya Hai

junun irfan ban kar rah gaya hai

ye kufr iman ban kar rah gaya hai

ye coffee-ghar meri shamon ka mehwar

meri pahchan ban kar rah gaya hai

farishta jis ko banna tha wo insan

faqat haiwan ban kar rah gaya hai

wo tha ek nukta-dan KHush-fikr shaer

magar nadan ban kar rah gaya hai

suKHan mera teri bazm-e-tarab mein

surili tan ban kar rah gaya hai

ye kaisi mahwiyat hai mera hona

tera paiman ban kar rah gaya hai

hue na-paid ehsas-o-taKHayyul

adab be-jaan ban kar rah gaya hai

jadidiyat mein be-chaara suKHnawar

KHirad ki shan ban kar rah gaya hai

dabistan-e-suKHan ab 'krishn' mohan

shuuristan ban kar rah gaya hai

(326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Irfan Ban Kar Rah Gaya Hai In English By Famous Poet Krishna Mohan. Junun Irfan Ban Kar Rah Gaya Hai is written by Krishna Mohan. Read famous Poem Junun Irfan Ban Kar Rah Gaya Hai for youth and Student by Krishna Mohan. Free Download Junun Irfan Ban Kar Rah Gaya Hai in PDF.