Raushni Ke Saz-o-saman DhunDhta Phirta Tha Main

raushni ke saz-o-saman DhunDhta phirta tha main

un dinon ek chand ki tamir mein uljha tha main

aaKHiri manzar hi shab ka hath lag paya mere

kal teri mahfil mein thoDa der se pahuncha tha main

us purane ghar ki wo diwar ab ke gir gai

han wahi diwar jis par ab talak likkha tha main

us ki bahon se nikal aaya bhi tha mera badan

aur us ke sine mein ab tak kahin lipTa tha main

umr-bhar ki mushkilen hans kar ke main ne par ki

ek KHushi mujh ko mili thi bas tabhi roya tha main

wo mere TuTe hue kirchon ko kab tak joDta

thoDa thoDa kar ke sare ghar mein hi bikhra tha main

puchhiye mat kya sukun-e-mustaqil tha qabr mein

muddaton ke baad aisi nind mein soya tha main

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Ke Saz-o-saman DhunDhta Phirta Tha Main In English By Famous Poet Kuldeep Kumar. Raushni Ke Saz-o-saman DhunDhta Phirta Tha Main is written by Kuldeep Kumar. Read famous Poem Raushni Ke Saz-o-saman DhunDhta Phirta Tha Main for youth and Student by Kuldeep Kumar. Free Download Raushni Ke Saz-o-saman DhunDhta Phirta Tha Main in PDF.