Ek Kahani KHatm Hui Hai Ek Kahani Baqi Hai

ek kahani KHatm hui hai ek kahani baqi hai

main be-shak mismar hun lekin mera sani baqi hai

dasht-e-junun ki KHak uDane walon ki himmat dekho

TuT chuke hain andar se lekin man-mani baqi hai

hath mere patwar bane hain aur lahren kashti meri

zor hawa ka qaem hai dariya ki rawani baqi hai

gahe gahe ab bhi chale jate hain hum us kuche mein

zehn buzurgi oDh chuka dil ki nadani baqi hai

kuchh ghazlen un zulfon par hain kuchh ghazlen un aankhon par

jaane wale dost ki ab ek yahi nishani baqi hai

nai nai aawazen ubhrin 'pashi' aur phir Dub gain

shahr-e-suKHan mein lekin ek aawaz purani baqi hai

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Kahani KHatm Hui Hai Ek Kahani Baqi Hai In English By Famous Poet Kumar Pashi. Ek Kahani KHatm Hui Hai Ek Kahani Baqi Hai is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Ek Kahani KHatm Hui Hai Ek Kahani Baqi Hai for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Ek Kahani KHatm Hui Hai Ek Kahani Baqi Hai in PDF.