Hawa Ke Rang Mein Duniya Pe Aashkar Hua

hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua

main qaid-e-jism se nikla to be-kanar hua

sitare TuT ke tarikiyan bikher gae

ye hadisa bhi safar mein hazar bar hua

bulandiyon pe tha mahw-e-safar hua ki tarah

libas-e-KHak jo pahna to KHaksar hua

lahuluhan hua bahr-o-bar ka har manzar

jo meri rah mein aaya mera shikar hua

tamam shahr ne mujrim mujhi ko gardana

tamam shahr mein ek main hi sangsar hua

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke Rang Mein Duniya Pe Aashkar Hua In English By Famous Poet Kumar Pashi. Hawa Ke Rang Mein Duniya Pe Aashkar Hua is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Hawa Ke Rang Mein Duniya Pe Aashkar Hua for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Hawa Ke Rang Mein Duniya Pe Aashkar Hua in PDF.