Isko Kuchh To Milta Hai Mujh Pe Zulm Dhane Se

is ko kuchh to milta hai mujh pe zulm Dhane se

baz wo na aaega mera ghar jalane se

ga rahi hain diwaren raqs mein hai aangan bhi

kitni raunaqen aain tere luT aane se

aa ki tere mathe par ab ise saja dun main

chand le ke aaya hun raat ke KHazane se

wo bhi in dinon yaro apni chaal mein gum hai

hum bhi kuchh nahin kahte aaj kal zamane se

hum ne apni aankhon mein KHwab kuchh sajae hain

apna bhi talluq hai zist ke gharane se

wo hai be-nazar 'pashi' us ko kya KHabar 'pashi'

kitne dil sulagte hain ek diya bujhane se

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isko Kuchh To Milta Hai Mujh Pe Zulm Dhane Se In English By Famous Poet Kumar Pashi. Isko Kuchh To Milta Hai Mujh Pe Zulm Dhane Se is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Isko Kuchh To Milta Hai Mujh Pe Zulm Dhane Se for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Isko Kuchh To Milta Hai Mujh Pe Zulm Dhane Se in PDF.