Main DhunDhta Hun Jise Aaj Bhi Hawa Ki Tarah

main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

wo kho gaya hai KHala mein meri sada ki tarah

na puchh mujh se mera qissa-e-zawal-e-junun

main paniyon pe barasta raha ghaTa ki tarah

tamam umr raha hun main jism mein mahsur

tamam umr kaTi hai meri saza ki tarah

utar de koi mujh par se ye badan ki rida

ki mar Dale mujhe bhi mere KHuda ki tarah

nikharta jae yunhi rang-e-sham ai 'pashi'

bikharta jaun yun hi main gul-e-nawa ki tarah

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main DhunDhta Hun Jise Aaj Bhi Hawa Ki Tarah In English By Famous Poet Kumar Pashi. Main DhunDhta Hun Jise Aaj Bhi Hawa Ki Tarah is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Main DhunDhta Hun Jise Aaj Bhi Hawa Ki Tarah for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Main DhunDhta Hun Jise Aaj Bhi Hawa Ki Tarah in PDF.