Gawahi De Raha Hun Main

gawahi de raha hun,

ab se kuchh pahle junubi shahr ke us par main dekha gaya tha

ab jahan par KHushk peDon ke ghane jangal hain, sune tang raste

jhaDiyan hain

aur lambe zard, jali-dar patton mein hawaen sarsaraati hain

gawahi de raha hun, ab se kuchh pahle,

jo apne hi lahu mein Dubta dekha gaya tha, wo koi mafrur qaidi tha

jise main jaanta hun, ab se kuchh pahle, jo mere zehn ke tapte hue

sahra mein bhaga phir raha tha

jis ki KHwahish thi:

kahin ThanDi ghaneri ghas par, apna libas-e-KHak-o-KHun rakh kar

gul-e-manzar mein kho jae

gawahi de raha hun: ab se kuchh pahle,

wo nannhi, shoKH laDki thi

gilahri si phudakti phir rahi thi aam ke sarsabz sayon mein

use malum tha shayad

ki us ki chhatiyon mein main dhaDakta hun

main dhaDkan ban gaya tha

us ke sine mein machalta tha

wo mera jism thi

shayad use malum tha:

main har gul-e-manzar mein hun aur raat din us ka taaqub kar raha hun

ab se kuchh pahle

junubi shahr ke us par jo dekha gaya tha main nahin tha

khoj mein meri wo nannhi shoKH laDki thi

gawahi de raha hun

ab se kuchh pahle

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gawahi De Raha Hun Main In English By Famous Poet Kumar Pashi. Gawahi De Raha Hun Main is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Gawahi De Raha Hun Main for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Gawahi De Raha Hun Main in PDF.