Rijaiyat Ki Himayat Mein

be-irada chalenge to la-hasili ke masaib se bach jaenge

tum kahoge koi phul rakh dusre hat par

dil hi dil mein main ro dunga is baat par

main kahunga

nahin kuchh na kah paunga

qahqaha mar kar bas hansunga tumhein bhi hansi aaegi

be-irada yunhi

be-irada hansenge yunhi der tak

phir KHayal aaega: tum ne ek baat mujh se kahi thi

batao: wo kya baat thi

tum kahoge haTao bhula do use

aao chal den yunhi

be-irada kahin

bhul jaen ki us ke gunahgar hain

us ke qatil hain hum

bhul jaen ki apni saza maut hai

(472) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rijaiyat Ki Himayat Mein In English By Famous Poet Kumar Pashi. Rijaiyat Ki Himayat Mein is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Rijaiyat Ki Himayat Mein for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Rijaiyat Ki Himayat Mein in PDF.