Ye Girta Hua Shahr Mera Nahin

ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin

hawa se ulajhta hua main chala ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman

raat ke dasht mein tere mere makan

dur hote chale ja rahe hain

lahu ke ujale bhi madum hain

aur tarik gumbad mein masum ruhon ke kohram mein

be-sada aasman ki taraf

KHun mein luThDe hue hath uThte hain tahlil ho jate hain

aur kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui

na-muradon ki basti ke upar

hawa se ulajhta hua main uDa ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman

main bulata hun aawaz deta hun ab us hasin shahr ko

jo purani zaminon ke niche kahin dafn hai

koi aawaz kanon mein aati nahin hai

main shayad purani zaminon ke niche bahut dur niche kahin dafn hun

KHun mein luThDe hue hath

tarik gumbad

ye andhi hawa

phaDphaData hua ek zaKHmi parinda

kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui

na-muradon ki basti ke upar

main jalte paron se uDa ja raha hun

ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin hai

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Girta Hua Shahr Mera Nahin In English By Famous Poet Kumar Pashi. Ye Girta Hua Shahr Mera Nahin is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Ye Girta Hua Shahr Mera Nahin for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Ye Girta Hua Shahr Mera Nahin in PDF.