Tum Lakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna

tum lakh chahe meri aafat mein jaan rakhna

par apne waste bhi kuchh imtihan rakhna

wo shaKHs kaam ka hai do aib bhi hain us mein

ek sar uThana duja munh mein zaban rakhna

pagli si ek laDki se shahr ye KHafa hai

wo chahti hai palkon pe aasman rakhna

kewal faqiron ko hai ye kaamyabi hasil

masti se jina aur KHush sara jahan rakhna

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Lakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna In English By Famous Poet Kumar Vishwas. Tum Lakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna is written by Kumar Vishwas. Read famous Poem Tum Lakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna for youth and Student by Kumar Vishwas. Free Download Tum Lakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna in PDF.