Apni KHwahish Mein Jo Bas Gae Hain Wo Diwar-o-dar ChhoD Den

apni KHwahish mein jo bas gae hain wo diwar-o-dar chhoD den

dhup aankhon mein chubhne lagi hai to kya hum safar chhoD den

dast-bardar ho jaen fariyaad se aur baghawat karen

kya sawali tere qasr-e-insaf! zanjir-e-dar chhoD den

jab luab-e-dahan apna tiryaq hai dast o bazu bhi hain

sanp galiyon mein lahra rahe hain to kya hum nagar chhoD den

shahryaron se Dar jaen hum haq-parasti se tauba karen

apne andar bhi ek aadmi hai use hum kidhar chhoD den

hum ne dekha hai dariyaon ka ruKH kunwar shahr ki samt hai

shahr wale agar be-KHabar hain to kya be-KHabar chhoD den

(376) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Apni KHwahish Mein Jo Bas Gae Hain Wo Diwar-o-dar ChhoD Den In English By Famous Poet Kunwar Ejaz Raja. Apni KHwahish Mein Jo Bas Gae Hain Wo Diwar-o-dar ChhoD Den is written by Kunwar Ejaz Raja. Read famous Poem Apni KHwahish Mein Jo Bas Gae Hain Wo Diwar-o-dar ChhoD Den for youth and Student by Kunwar Ejaz Raja. Free Download Apni KHwahish Mein Jo Bas Gae Hain Wo Diwar-o-dar ChhoD Den in PDF.