Jab Se Meri Taqdir Ka Duba Suraj

jab se meri taqdir ka Duba suraj

us roz se ab tak nahin dekha suraj

Dubega bahut jald ye chaDhta suraj

is waste main ne nahin puja suraj

jab se tere chehre ki chamak dekhi hai

aankhon ko meri ek nahin jachta suraj

tariki se har shaKHs ko fursat to mili

mere liye ab tak nahin nikla suraj

kirnon ko wo bazar mein bech aaya hai

shayad ki kai din se tha bhuka suraj

tum ne to kai logon ko banTe lekin

main ne to kabhi ek na paya suraj

barson se zamane ko sahar de na saka

haalat mein kuchh is tarah uljha suraj

aaya hai tasawwur mein sar-e-sham koi

mere ufuq-e-zehn pe nikla suraj

'ajiz' ko pareshan nahin kar sakta

aflak-e-masaib ka ye tapta suraj

(461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Meri Taqdir Ka Duba Suraj In English By Famous Poet Laiq Aajiz. Jab Se Meri Taqdir Ka Duba Suraj is written by Laiq Aajiz. Read famous Poem Jab Se Meri Taqdir Ka Duba Suraj for youth and Student by Laiq Aajiz. Free Download Jab Se Meri Taqdir Ka Duba Suraj in PDF.