Us Husn-e-be-niyaz Ke Kuchh Martabe The Aur

us husn-e-be-niyaz ke kuchh martabe the aur

meri udas raaton ke bujhte diye the aur

zaKHmon ko nok-e-KHar ki lazzat pasand thi

waise tumhaare ghar ke kai raste the aur

main hi nahin tha khokhle peDon ke darmiyan

mujh jaise na-shanas wahan par khaDe the aur

is se bichhaD ke rone ki fursat nahin mili

qirtas-e-zindagi pe kai gham likhe the aur

daman mein jo guhar hain natije hain ishq ke

pahle jo mere pas the wo aaine the aur

saqi bacha li aabru tu ne KHud apni aaj

warna meri manzar mein kai mai-kade the aur

jis ke ek ek misre mein rahta tha us ka zikr

'ajiz' wo sher aur the wo qafiye the aur

(429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Husn-e-be-niyaz Ke Kuchh Martabe The Aur In English By Famous Poet Laiq Aajiz. Us Husn-e-be-niyaz Ke Kuchh Martabe The Aur is written by Laiq Aajiz. Read famous Poem Us Husn-e-be-niyaz Ke Kuchh Martabe The Aur for youth and Student by Laiq Aajiz. Free Download Us Husn-e-be-niyaz Ke Kuchh Martabe The Aur in PDF.