Gulzar Mein Raftar-e-saba Aur Hi Kuchh Hai

gulzar mein raftar-e-saba aur hi kuchh hai

us shoKH ke chalne ki ada aur hi kuchh hai

karti hai KHunuk dil ki tapish baad-e-sahar bhi

lekin tere daman ki hawa aur hi kuchh hai

shayad wo shabab aane se aagah hua hai

palken hain jhukin rang-e-haya aur hi kuchh hai

kis shoKH ne zulfon ko hawa mein hai uDaya

ye tauba-shikan kali-ghaTa aur hi kuchh hai

kahne ko to har fard-o-bashar sab hain barabar

duniya mein magar shor bapa aur hi kuchh hai

bekas ka lahu shoala na ban jae sambhalna

paigham sunati ye hawa aur hi kuchh hai

wo lakh sitam Dhaen kabhi uf na karunga

aafat mera dastur-e-wafa aur hi kuchh hai

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulzar Mein Raftar-e-saba Aur Hi Kuchh Hai In English By Famous Poet Lalan Chaudhary. Gulzar Mein Raftar-e-saba Aur Hi Kuchh Hai is written by Lalan Chaudhary. Read famous Poem Gulzar Mein Raftar-e-saba Aur Hi Kuchh Hai for youth and Student by Lalan Chaudhary. Free Download Gulzar Mein Raftar-e-saba Aur Hi Kuchh Hai in PDF.