Main Pi Rahi Hun Ki Zahrab Hain Mere Aansu

main pi rahi hun ki zahrab hain mere aansu

teri nazar mein faqat aab hain mere aansu

tu aaftab hai mera main tujh se hun raushan

tere huzur to mahtab hain mere aansu

wo ghaaliban unhen hathon mein tham bhi leta

use KHabar na thi sailab hain mere aansu

KHayal rakhte hain tanhaiyon ka mahfil ka

ye kitne waqif-e-adab hain mere aansu

chhupa ke rakhti hun har gham ko lakh pardon mein

fasil-e-zabt se nayab hain mere aansu

sahifa jaan ke aankhon ko paDh raha hai koi

ye rasm-e-ijra ko betab hain mere aansu

main shaeri ke hun fann-e-aruz se waqif

zabar hain zer hain erab hain mere aansu

jise paDha nahin tum ne kabhi mohabbat se

kitab-e-zist ka wo bab hain mere aansu

'haya' ke raaz ko aankhon mein DhunDne walo

shanawaro suno girdab hain mere aansu

(528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Pi Rahi Hun Ki Zahrab Hain Mere Aansu In English By Famous Poet Lata Haya. Main Pi Rahi Hun Ki Zahrab Hain Mere Aansu is written by Lata Haya. Read famous Poem Main Pi Rahi Hun Ki Zahrab Hain Mere Aansu for youth and Student by Lata Haya. Free Download Main Pi Rahi Hun Ki Zahrab Hain Mere Aansu in PDF.