Sar Pe Sajne Ko Jo Tayyar Hai Mere Andar

sar pe sajne ko jo tayyar hai mere andar

gard-alud si dastar hai mere andar

jis ke mar jaane ka ehsas bana rahta hai

mujh se baDh kar koi bimar hai mere andar

roz ashkon ki nai fasl uga deta hai

ek buDha sa zamindar hai mere andar

kitna ghanghor andhera hai meri rag rag mein

is qadar raushni darkar hai mere andar

dab ke mar jaunga ek roz main apne niche

ek girti hui diwar hai mere andar

kaun deta hai ye har waqt gawahi meri

kaun ye mera taraf-dar hai mere andar

mere likkhe hue har lafz ko jhuTlata hai

mujh se baDh kar koi fankar hai mere andar

(456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Pe Sajne Ko Jo Tayyar Hai Mere Andar In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Sar Pe Sajne Ko Jo Tayyar Hai Mere Andar is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Sar Pe Sajne Ko Jo Tayyar Hai Mere Andar for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Sar Pe Sajne Ko Jo Tayyar Hai Mere Andar in PDF.