Koi Aas-pas Nahin Raha To KHayal Teri Taraf Gaya

koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya

mujhe apna hath bhi chhu gaya to KHayal teri taraf gaya

koi aa ke jaise chala gaya koi ja ke jaise gaya nahin

mujhe apna ghar kabhi ghar laga to KHayal teri taraf gaya

meri be-kali thi shaguftagi so bahaar mujh se lipaT gai

kaha wahm ne ki ye kaun tha to KHayal teri taraf gaya

mujhe kab kisi ki umang thi meri apne aap se jang thi

hua jab shikast ka samna to KHayal teri taraf gaya

kisi hadse ki KHabar hui to faza ki sans ukhaD gai

koi ittifaq se bach gaya to KHayal teri taraf gaya

tere hijr mein KHur-o-KHwab ka kai din se hai yahi silsila

koi luqma hath se gir paDa to KHayal teri taraf gaya

mere iKHtiyar ki shiddaten meri dastaras se nikal gain

kabhi tu bhi samne aa gaya to KHayal teri taraf gaya

(1326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Aas-pas Nahin Raha To KHayal Teri Taraf Gaya In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. Koi Aas-pas Nahin Raha To KHayal Teri Taraf Gaya is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem Koi Aas-pas Nahin Raha To KHayal Teri Taraf Gaya for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download Koi Aas-pas Nahin Raha To KHayal Teri Taraf Gaya in PDF.