Na Ab Mujhko Sada Do Thak Gaya Hun

na ab mujh ko sada do thak gaya main

tumhi jao irado thak gaya hun

nahin uTThi meri talwar mujh se

uTho ai shah-zado thak gaya hun

zara sa sath do gham ke safar mein

zara sa muskura do thak gaya hun

tumhaare sath hun phir bhi akela

rafiqo rasta do thak gaya hun

kahan tak ek hi tamsil dekhun

bas ab parda gira do thak gaya hun

(452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ab Mujhko Sada Do Thak Gaya Hun In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. Na Ab Mujhko Sada Do Thak Gaya Hun is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem Na Ab Mujhko Sada Do Thak Gaya Hun for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download Na Ab Mujhko Sada Do Thak Gaya Hun in PDF.