Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Kabhi Juda Na Hua

main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua

ki us ke baad kisi ka bhi aashna na hua

tamam umr mera mujh se iKHtilaf raha

gila na kar jo kabhi tera ham-nawa na hua

wo jate jate dilase bhi de gaya kya kya

ye aur baat ki phir us se rabta na hua

hazar shukr salamat hai mera sar ab bhi

hazar dushman-e-jaan se bhi dostana hua

zara si choT pe jhankar gunj uThti hai

ki saz TuT gaya phir bhi be-sada na hua

kuchh itna sahl nahin tha zamir ka sauda

bala se main kabhi ahl-e-qaba hua na hua

ajab hai yaadon ki bahti hui ye KHushk nadi

lahu ko aankh se Tapke hue zamana hua

(400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Kabhi Juda Na Hua In English By Famous Poet Lutf-ur-rahman. Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Kabhi Juda Na Hua is written by Lutf-ur-rahman. Read famous Poem Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Kabhi Juda Na Hua for youth and Student by Lutf-ur-rahman. Free Download Main Dur Ho Ke Bhi Us Se Kabhi Juda Na Hua in PDF.