Guftugu Hum Ru-ba-ru Un Ke Na Kar Pae Bahut

guftugu hum ru-ba-ru un ke na kar pae bahut

yun to aate the suKHan ke hum ko pairae bahut

zindagi ki dhup mein jab dur tak jaana paDa

yaad aae teri zulfon ke ghane sae bahut

ho saka phir bhi na us ke husn-e-rangin ka bayan

shahr-e-fikr-o-fan se tashbihat hum lae bahut

main ne ek haq baat kah di thi KHilaf-e-maslahat

tab se sunta hun KHafa hain mere ham-sae bahut

un ko jaane kis ne bheja tha payam-e-sair-e-gul

bagh mein uD kar parinde dur se aae bahut

teri qismat mein tahi-daman hi rahna tha 'qadir'

warna us ne anjuman mein phul barsae bahut

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guftugu Hum Ru-ba-ru Un Ke Na Kar Pae Bahut In English By Famous Poet M. A. Qadeer. Guftugu Hum Ru-ba-ru Un Ke Na Kar Pae Bahut is written by M. A. Qadeer. Read famous Poem Guftugu Hum Ru-ba-ru Un Ke Na Kar Pae Bahut for youth and Student by M. A. Qadeer. Free Download Guftugu Hum Ru-ba-ru Un Ke Na Kar Pae Bahut in PDF.