Har Ek Lamha Meri Aag Mein Guzare Koi

har ek lamha meri aag mein guzare koi

phir us ke baad mujhe ishq mein utare koi

main apni gunj ko mahsus karna chahta hun

utar ke mujh mein mujhe zor se pukare koi

ab aarzu hai wo har shai mein jagmagane lage

bas ek chehre mein kab tak use nihaare koi

falak pe chand-sitare Tange hain sadiyon se

main chahta hun zamin par inhen utare koi

hai dukh to kah do kisi peD se parinde se

ab aadmi ka bharosa nahin hai pyare koi

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Lamha Meri Aag Mein Guzare Koi In English By Famous Poet Madan Mohan Danish. Har Ek Lamha Meri Aag Mein Guzare Koi is written by Madan Mohan Danish. Read famous Poem Har Ek Lamha Meri Aag Mein Guzare Koi for youth and Student by Madan Mohan Danish. Free Download Har Ek Lamha Meri Aag Mein Guzare Koi in PDF.