Kuchh Us Maqam Se Ab Dil Ka Karwan Guzre

kuchh us maqam se ab dil ka karwan guzre

yaqin ki had se jo guzre to be-zaban guzre

ye ittifaq kahan hai ki aankh bhar aai

mohabbaton mein koi kaise be-nishan guzre

mujhi se ho ke guzarti hai rah duniya ki

so mujh se ho ke zamin aur aasman guzre

talluqat mein wo marhale bhi kaise the

yaqin aur guman ke jo darmiyan guzre

tilism-e-rang mein uljhe hue hain sab 'danish'

jo dekhne hain wo manzar abhi kahan guzre

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Us Maqam Se Ab Dil Ka Karwan Guzre In English By Famous Poet Madan Mohan Danish. Kuchh Us Maqam Se Ab Dil Ka Karwan Guzre is written by Madan Mohan Danish. Read famous Poem Kuchh Us Maqam Se Ab Dil Ka Karwan Guzre for youth and Student by Madan Mohan Danish. Free Download Kuchh Us Maqam Se Ab Dil Ka Karwan Guzre in PDF.