Tum Apne Aap Par Ehsan Kyun Nahin Karte

tum apne aap par ehsan kyun nahin karte

kiya hai ishq to elan kyun nahin karte

sajae phirte ho mahfil na jaane kis kis ki

kabhi parindon ko mehman kyun nahin karte

wo dekhte hi nahin jo hai manzaron se alag

kabhi nigah ko hairan kyun nahin karte

purani samton mein chalne ki sab ko aadat hai

nai dishaon ka wo dhyan kyun nahin karte

bas ek charagh ke bujhne se bujh gae 'danish'

tum aandhiyon ko pareshan kyun nahin karte

(558) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Apne Aap Par Ehsan Kyun Nahin Karte In English By Famous Poet Madan Mohan Danish. Tum Apne Aap Par Ehsan Kyun Nahin Karte is written by Madan Mohan Danish. Read famous Poem Tum Apne Aap Par Ehsan Kyun Nahin Karte for youth and Student by Madan Mohan Danish. Free Download Tum Apne Aap Par Ehsan Kyun Nahin Karte in PDF.