Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La

jawan hai raat saqiya sharab la sharab la

zara si pyas to bujha sharab la sharab la

tere shabab par sada karam rahe bahaar ka

tujhe lage meri dua sharab la sharab la

yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein

miTa de nam hosh ka sharab la sharab la

tera baDa hi shukriya pilae ja pilae ja

na zikr kar hisab ka sharab la sharab la

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La In English By Famous Poet Madan Pal. Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La is written by Madan Pal. Read famous Poem Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La for youth and Student by Madan Pal. Free Download Jawan Hai Raat Saqiya Sharab La Sharab La in PDF.