Dil Jab Se Tere Hijr Mein Bimar PaDa Hai

dil jab se tere hijr mein bimar paDa hai

jine se KHafa jaan se be-zar paDa hai

sauda na bana gesu-e-jaanan se to kya gham

le lenge kahin aur se bazar paDa hai

parhez tap-e-hijr se hai tujh ko jo ai dil

tu aur bhi aage kabhi bimar paDa hai

farmaiye roke se ruke hain kabhi aashiq

darwaze pe qufl aap ke sau bar paDa hai

main dair o haram ho ke tere kuche mein pahuncha

do manzilon ka pher bas ai yar paDa hai

ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol

parhez se dil aur bhi bimar paDa hai

tauqir nahin anjuman-e-KHas mein dil ki

shisha tere mai-KHana mein bekar paDa hai

kuchh sham-e-judai mein sujhai nahin deta

parda KHirad o hosh pe ai yar paDa hai

'jauhar' kahin bikti hi nahin jins-e-mohabbat

kya qaht wafa ka sar-e-bazar paDa hai

(345) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Jab Se Tere Hijr Mein Bimar PaDa Hai In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Dil Jab Se Tere Hijr Mein Bimar PaDa Hai is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Dil Jab Se Tere Hijr Mein Bimar PaDa Hai for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Dil Jab Se Tere Hijr Mein Bimar PaDa Hai in PDF.