Kunj-e-qafas Se Pahle Ghar Apna Kahan Na Tha

kunj-e-qafas se pahle ghar apna kahan na tha

aae yahan to hausla-e-ashiyan na tha

tujh ko samajh ke KHwab mein pahuncha main jis jagah

dekha jo aankh khol ke to kuchh wahan na tha

ek ek qadam pe ab to qayamat ki dhum hai

aage to ye chalan kabhi ai jaan-e-jaan na tha

Thahri jo wasl ki to hui subh sham se

but mehrban hue to KHuda mehrban na tha

kyunkar qasam pe aaj mujhe e'tibar aae

kis din KHuda tumhaare mere darmiyan na tha

toDa jo phul bulbul-e-shaida ke samne

kya tere dil mein dard kuchh ai baghban na tha

(280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kunj-e-qafas Se Pahle Ghar Apna Kahan Na Tha In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Kunj-e-qafas Se Pahle Ghar Apna Kahan Na Tha is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Kunj-e-qafas Se Pahle Ghar Apna Kahan Na Tha for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Kunj-e-qafas Se Pahle Ghar Apna Kahan Na Tha in PDF.