Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar Dekh Liya

roz kahte the kabhi ghair ke ghar dekh liya

aaj to aankh se ai rashk-e-qamar dekh liya

kaba-e-dil se mili manzil-e-maqsud ki rah

yar ka hum ne usi kuche mein ghar dekh liya

jaanib-e-ghair ishaara jo hua jaante hain

hum ne KHud aankh se dekha ki idhar dekh liya

kaun sota hai kise hijr mein nind aati hai

KHwab mein kis ne tumhein ek nazar dekh liya

jab kaha main ne nahin koi chalo mere ghar

KHub raste mein idhar aur udhar dekh liya

bole chalne mein nahin uzr mujhe kuchh lekin

KHauf ye hai kisi mufsid ne agar dekh liya

aahon se aag laga denge dil-e-dushman mein

chhup ke rahte hain jahan aap ka ghar dekh liya

bach gaya naqd-e-dil ab ke to nazar se us ki

aaega phir bhi agar chor ne ghar dekh liya

(294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar Dekh Liya In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar Dekh Liya is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar Dekh Liya for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar Dekh Liya in PDF.