Tere Ghar KHwab Mein Gaya Tha Ghair

tere ghar KHwab mein gaya tha ghair

apni aankhon se hum ne dekha hai

kis qadar hai mizaj mein garmi

shoala hai aag hai bhabhuka hai

ai buto kabe ka karo kuchh pas

dil na toDo ye ghar KHuda ka hai

chup raho kyun mizaj puchhte ho

hum jien ya maren tumhein kya hai

us gul-e-tar ke aane se 'jauhar'

KHana-e-dil tamam mahka hai

(304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Ghar KHwab Mein Gaya Tha Ghair In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Tere Ghar KHwab Mein Gaya Tha Ghair is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Tere Ghar KHwab Mein Gaya Tha Ghair for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Tere Ghar KHwab Mein Gaya Tha Ghair in PDF.