Gharibon Ko Faqat Updesh Ki GhuTTi Pilate Ho

gharibon ko faqat updesh ki ghuTTi pilate ho

baDe aaram se tum chain ki bansi bajate ho

hai mushkil daur sukhi roTiyan bhi dur hain hum se

maze se tum kabhi kaju kabhi kishmish chabaate ho

nazar aati nahin muflis ki aankhon mein to KHush-haali

kahan tum raat-din jhuThe unhen sapne dikhate ho

andhera kar ke baiThe ho hamari zindagani mein

magar apni hatheli par naya suraj ugate ho

wywastha kashTkari kyun na ho kirdar aisa hai

ye janta jaanti hai sab kahan tum sar jhukate ho

(393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gharibon Ko Faqat Updesh Ki GhuTTi Pilate Ho In English By Famous Poet Mahaveer Uttaranchali. Gharibon Ko Faqat Updesh Ki GhuTTi Pilate Ho is written by Mahaveer Uttaranchali. Read famous Poem Gharibon Ko Faqat Updesh Ki GhuTTi Pilate Ho for youth and Student by Mahaveer Uttaranchali. Free Download Gharibon Ko Faqat Updesh Ki GhuTTi Pilate Ho in PDF.