KHuda Ka Shukr Hai Girdab Se Nikal Aaya

KHuda ka shukr hai girdab se nikal aaya

main us ke halqa-e-ahbab se nikal aaya

saji hui thin dukanen munafiqat ki jahan

main aise qarya-e-be-KHwab se nikal aaya

bahut dinon se hisar-e-tilism-e-KHwab mein tha

tilism TuT gaya KHwab se nikal aaya

ata hui hai mohabbat ki saltanat jab se

main shahr-e-dida-e-KHun-nab se nikal aaya

kabhi gulab se aane lagi mahak us ki

kabhi wo anjum o mahtab se nikal aaya

ana ki naw jahan Dolti phire 'mahbub'

main us fareb ke sailab se nikal aaya

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Ka Shukr Hai Girdab Se Nikal Aaya In English By Famous Poet Mahboob Zafar. KHuda Ka Shukr Hai Girdab Se Nikal Aaya is written by Mahboob Zafar. Read famous Poem KHuda Ka Shukr Hai Girdab Se Nikal Aaya for youth and Student by Mahboob Zafar. Free Download KHuda Ka Shukr Hai Girdab Se Nikal Aaya in PDF.