Ashaar Ki TaKHliq Mein Jalta Hai Jigar Kyun

ashaar ki taKHliq mein jalta hai jigar kyun

yarab mujhe baKHsha hai ye jaan-soz hunar kyun

gham ishq ki saughat hai sine se laga le

phulon ki tamanna hai to kanTon se hazar kyun

kuchh had se siwa hain mere gham-KHwar wagarna

rahti hai mere haal pe yaron ki nazar kyun

kal jis ko sar aankhon par biThata tha zamana

baiTha hai sar-e-rah wo ab KHak-basar kyun

aariz ke gulabon pe udasi ki ye shabnam

namnak hain aankhen teri aaj ai gul-e-tar kyun

phir kaun gaya pichhle pahar bazm se uTh kar

phir sog ka aalam hai ye hangam-e-sahar kyun

patthar ke siwa 'chand' yahan kuchh na milega

baiTha hai sajae hue shishon ka tu ghar kyun

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashaar Ki TaKHliq Mein Jalta Hai Jigar Kyun In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Ashaar Ki TaKHliq Mein Jalta Hai Jigar Kyun is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Ashaar Ki TaKHliq Mein Jalta Hai Jigar Kyun for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Ashaar Ki TaKHliq Mein Jalta Hai Jigar Kyun in PDF.