Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha

main ne kab apni wafaon ka sila manga tha

ek tabassum hi tera bahr-e-KHuda manga tha

kya KHabar thi ki meri nind hi ujaD jaengi

main ne khoe hue KHwabon ka pata manga tha

dast-e-gul-chin ne bhi gulshan se wahi phul chuna

main ne jis gul ke liye dast-e-saba manga tha

shiddat-e-gham mein dua ki thi tujhe bhulne ki

ab bhare zaKHm to nadim hun ye kya manga tha

bas isi baat pe barham hai zamana mujh se

apne bad-KHwahon ka bhi main ne bhala manga tha

ek guzarish bhi na ho pai qubul us ke huzur

ghaaliban main ne hi kuchh had se siwa manga tha

chuDiyan TuTin to zaKHmon se lahu rang hui

jis hatheli ne zara rang-e-hina manga tha

tu ne har gham se nawaza hai tera KHas karam

mujh ko to ye bhi nahin yaad ki kya manga tha

aafaten sahne ka yara bhi to deta yar ab

aur to kuchh bhi nahin us ke siwa manga tha

ye alag baat mila karb-e-musalsal warna

hum ne jo manga wo ba-sidq-o-safa manga tha

zehn par 'chand' phir ek barq si lahrane lagi

dil ne mazi ke nihan-KHanon se kya manga tha

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Maine Kab Apni Wafaon Ka Sila Manga Tha in PDF.