Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai

ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai

dosti mein hum ne kuchh khoya hai kuchh paya bhi hai

ek zara si baat par kyun kar talluq toD dun

wo purana yar bhi hai mera ham-saya bhi hai

is taraf dekha to hai be-shak hiqarat se sahi

shukr hai itna karam to is ne farmaya bhi hai

yun to kuchh qimat nahin jins-e-wafa ki han magar

jis qadar arzan hai ye itni garan-maya bhi hai

sair phir bhi ho nahin paya dil-e-iza-talab

waqt ne ji bhar ke go us par sitam Dhaya bhi hai

hijr ki shab aur yaadon ki surur-agin phuwar

kuchh to dil ki be-qarari ko qarar aaya bhi hai

lakh maujon ki bala-KHezi ne ki khilwaD bhi

us ne kashti ko magar sahil pe pahunchaya bhi hai

phir bhi yarab kya milega hasidon ke shahr mein

taj to shohrat ka tu ne mujh ko pahnaya bhi hai

kyun na 'chand' apni ana ko jaan se rakhun aziz

ye mera iman bhi hai mera sarmaya bhi hai

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai in PDF.