Tariq-e-ishq Mein Barbaad Hona PaDta Hai

tariq-e-ishq mein barbaad hona paDta hai

gulon ki chah mein kanTon pe sona paDta hai

bas ek lamha-e-raaz-o-niyaz ki KHatir

bashar ko muddaton chhup-chhup ke rona paDta hai

zamir bech ke mansab to mil hi jaega

waqar pahle magar is mein khona paDta hai

hai bad-lihaz ye duniya koi kahan jae

qadam qadam pe yahan KHwar hona paDta hai

ye faqa-kash ki jinhen haif KHud-farebi mein

shikam ki seri ko pani bilona paDta hai

maashre ka ho nasur ya badan ka ghaw

ilaj ke liye nashtar chubhona paDta hai

pasare hath to phirte ho mal-o-zar ke liye

bil-aKHir un se magar hath dhona paDta hai

parae dard mein hota nahin sharik koi

ghamon ke bojh ko KHud aap Dhona paDta hai

ye sach hai 'chand' shagufta ghazal jo kahni ho

qalam ko KHun-e-jigar mein Dubona paDta hai

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tariq-e-ishq Mein Barbaad Hona PaDta Hai In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Tariq-e-ishq Mein Barbaad Hona PaDta Hai is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Tariq-e-ishq Mein Barbaad Hona PaDta Hai for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Tariq-e-ishq Mein Barbaad Hona PaDta Hai in PDF.