Zaban Ka Pas Hai To Qaul Sab Nibhane Hain

zaban ka pas hai to qaul sab nibhane hain

agar mukarne pe aaun to sau bahane hain

tir-e-nigah ke raste sabhi nae hain magar

hamare taur-tariqe sabhi parae hain

na ras aai hamein aap ki ada koi

sitam hai us pe ki hum aap ke diwane hain

ye kya ki hausla tum ne abhi se haar diya

abhi to waqt ne kuchh aur gul khilane hain

siyah-raat ki tarikiyan baja lekin

naweli subh ke manzar ajab suhane hain

har ek samt balaon ka ek hujum sa hai

tamam hausle ab dil ko aazmane hain

naya to kuchh bhi nahin teri dastan mein 'chand'

wahi hain dard ke qisse wahi fasane hain

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Ka Pas Hai To Qaul Sab Nibhane Hain In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Zaban Ka Pas Hai To Qaul Sab Nibhane Hain is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Zaban Ka Pas Hai To Qaul Sab Nibhane Hain for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Zaban Ka Pas Hai To Qaul Sab Nibhane Hain in PDF.