Sabz ShaKHon Pe Zamane Ki Nazar Hoti Hai

sabz shaKHon pe zamane ki nazar hoti hai

kis ko sukhe hue patton ki KHabar hoti hai

sadaf-e-chashm se bahar jo na aane pae

bund ashkon ki wahi misl-e-guhar hoti hai

yaad ghurbat mein jab aati hai watan ki mujh ko

na-gahan aankh meri ashkon se tar hoti hai

dafatan dil ka har ek zaKHm ubhar jata hai

jab bhi taswir teri pesh-e-nazar hoti hai

sham hote hi sulag jate hain har ghar mein charagh

Dub jate hain sitare to sahar hoti hai

phul to phul hain patte nahin ugte jin mein

aise peDon se bhi umid-e-samar hoti hai

aib-jui mein shab-o-roz guzaren jo 'asar'

apne kirdar pe kab un ki nazar hoti hai

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabz ShaKHon Pe Zamane Ki Nazar Hoti Hai In English By Famous Poet Mahfooz Asar. Sabz ShaKHon Pe Zamane Ki Nazar Hoti Hai is written by Mahfooz Asar. Read famous Poem Sabz ShaKHon Pe Zamane Ki Nazar Hoti Hai for youth and Student by Mahfooz Asar. Free Download Sabz ShaKHon Pe Zamane Ki Nazar Hoti Hai in PDF.