Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein

aap nur-afshan hain raat ke andhere mein

ya sitare raqsan hain raat ke andhere mein

ek din wo zarron ko aaftab kar lenge

dhup ke jo KHwahan hain raat ke andhere mein

kyun nahin jala lete aansuon ki qindilen

log kyun hirasan hain raat ke andhere mein

KHaufnak aawazen wahshiyon ke hangame

raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere mein

raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak

ab bhi kitne insan hain raat ke andhere mein

din ki raushni mein jo sab se be-takalluf hai

hum se kyun gurezan hain raat ke andhere mein

tirgi se laDne ka hausla nahin jin mein

an ke jism larzan hain raat ke andhere mein

ujle ujle chehron par aks dilrubai ke

kis qadar numayan hain raat ke andhere mein

DhunDte hain sab apne apne ham-nawaon ko

aaine pareshan hain raat ke andhere mein

kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue 'adil'

raste daraKHshan hain raat ke andhere mein

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein In English By Famous Poet Mahfuzur Rahman Adil. Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein is written by Mahfuzur Rahman Adil. Read famous Poem Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein for youth and Student by Mahfuzur Rahman Adil. Free Download Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein in PDF.