Ehsas-e-KHushi MiT Jata Hai Afsurda Tabiat Hoti Hai

ehsas-e-KHushi miT jata hai afsurda tabiat hoti hai

dil par wo ghaDi bhi aati hai jab gham ki zarurat hoti hai

do harf bhi mere sun na sake tum itne kyun bezar hue

main ne tumhein apna samjha tha apnon se shikayat hoti hai

ye sud-o-ziyan ke paimane ye jhuTe sachche afsane

in ahl-e-hawas ki baaton se badnam mohabbat hoti hai

ek dusri botal aane tak ye durd-e-tah-e-saghar hi sahi

o tishna-e-mai betab na ho saqi ko nadamat hoti hai

'mahir' ki sada baaton se allah bachata hi rakkhe

KHud to ye baDe hi hazrat hain auron ko nasihat hoti hai

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehsas-e-KHushi MiT Jata Hai Afsurda Tabiat Hoti Hai In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Ehsas-e-KHushi MiT Jata Hai Afsurda Tabiat Hoti Hai is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Ehsas-e-KHushi MiT Jata Hai Afsurda Tabiat Hoti Hai for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Ehsas-e-KHushi MiT Jata Hai Afsurda Tabiat Hoti Hai in PDF.