Wo Hans Hans Ke Wade Kiye Ja Rahe Hain

wo hans hans ke wade kiye ja rahe hain

fareb-e-tamanna diye ja rahe hain

tera nam le kar jiye ja rahe hain

gunah-e-mohabbat kiye ja rahe hain

mere zaKHm-e-dil ka muqaddar to dekho

nigahon se Tanke diye ja rahe hain

na kali ghaTaen na phulon ka mausam

magar pine wale piye ja rahe hain

teri mahfil-e-naz se uThne wale

nigahon mein tujh ko liye ja rahe hain

mere shauq-e-didar ka haal sun kar

qayamat ke wade kiye ja rahe hain

harim-e-tajalli mein zauq-e-nazar hai

nigahon se sajde kiye ja rahe hain

abhi hai asiri ka aaghaz 'mahir'

abhi to faqat par siye ja rahe hain

(505) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hans Hans Ke Wade Kiye Ja Rahe Hain In English By Famous Poet Mahirul Qadri. Wo Hans Hans Ke Wade Kiye Ja Rahe Hain is written by Mahirul Qadri. Read famous Poem Wo Hans Hans Ke Wade Kiye Ja Rahe Hain for youth and Student by Mahirul Qadri. Free Download Wo Hans Hans Ke Wade Kiye Ja Rahe Hain in PDF.