Marne Wale Ke Kamre Mein

yun rag o pai mein ajal utri hai

hath sakit hain dua kya mangen

aankh KHamosh hai, kya dekhegi

honT KHwabida hain kya bolenge

ek sannaTa abad-taba-abad

johd-e-yak-umr ka hasil Thahre

dard ka shola rag-e-jaan ka lahu

jins-e-be-maya the be-maya rahe

tera KHak un ki KHaridar bane

nikhat-e-gul ki tarah aawara

bu-e-jaan wusat-e-afaq mein gum

yak kaf-e-KHak hai wo bhi kab tak?

subh ki os se aankhen dho lo

kamre se jhank ke bahar dekho

aise masruf tag-o-taz hain sab

jaise kal un ke muqaddar mein nahin

main tamashai hun har manzar ka

jaise kal mere muqaddar mein nahin

(498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marne Wale Ke Kamre Mein In English By Famous Poet Mahmood Ayaz. Marne Wale Ke Kamre Mein is written by Mahmood Ayaz. Read famous Poem Marne Wale Ke Kamre Mein for youth and Student by Mahmood Ayaz. Free Download Marne Wale Ke Kamre Mein in PDF.